qarar hote hue be-qarar yani main tumhaare hijr ka ek sogwar yani main watan se dur watan ka muqim yani tu watan mein rah ke gharib-ud-dayar yani main sarapa kibr wa sarapa ghurur yani tu tere ghurur pe har dam nisar yani main wafa-o-mehr-o-mohabbat ka nam yani tu wafa-o-mehr-o-mohabbat shiar yani main har ek amal se mere be-niyaz yani tu niyaz-o-nazr dil-o-jaan-guzar yani main ummid-e-amad-e-subh-e-bahaar yani tu aur is bahaar ka umid-war yani main sukhan mein taza khayalon ki mauj yani tu sukhan ko bais-e-sad-iftikhar yani main