kab faraghat thi gham-e-subh-o-masa se mujh ko roz o shab kaam raha aah-o-buka se mujh ko pas-e-khatir se na dushman ke sitam kar mujh par khelna aata hai ai dost qaza se mujh ko hae aalam shab-e-furqat meri mayusi ka deti hai maut ki ummid dilase mujh ko tha teri fitna-khirami se ayan dil ka maal bu-e-khun aati hai naqsh-e-kaf-e-pa se mujh ko ai 'wafa' mausam-e-wahshat bhi hai kya mausam-e-gul kyun bachate hain gulistan ki hawa se mujh ko