qarar is dil ko aana ab zaruri to nahin hai naya ek gham basana ab zaruri to nahin hai zaruri to nahin hai ab use aawaz dena aur us ka laut aana ab zaruri to nahin hai zara sa muskura dene mein ab kaisa taraddud ki itna gham chhupana ab zaruri to nahin hai to kya khamosh rah kar bhi sunai de raha hun magar sab kuchh chhupana ab zaruri to nahin hai sanwarne ke liye betab hai dil chashm-e-nam mein ye aaina dikhana ab zaruri to nahin hai hunar khwabon mein dar aane ka hum bhi jaante hain par us ko aazmana ab zaruri to nahin hai zaruri to nahin hai ab har ek wada nibhana har ek wada nibhana ab zaruri to nahin hai