na jaane kyon us ghadi bikharne se rah gaya tha main us ki aawaz par thaharne se rah gaya tha us ek lamhe ki raegani ka dukh hai sara wo teri qurbat mein jo guzarne se rah gaya tha khushi ke raste ko muskuraata hua gaya hai wo gham jo dil mein qiyam karne se rah gaya tha kisi ki aankhon se bah chali thi tamam hairat wo aaina-ru tha aur sanwarne se rah gaya tha mata-e-dil ko bacha to lai thi na-rasai ki rah gaya tha wo qarz utarne se rah gaya tha main ek manzar mein ek musawwir ka rup dhaare us ek manzar mein rang bharne se rah gaya tha hamari aankhon mein kuchh nahin tha siwae dil ke siwae dil ke sabhi sanwarne se rah gaya tha kisi jazire pe raat yaaden baras rahi thin kahin samundar tha jo bipharne se rah gaya tha