qarib aa ke bhi ek shaKHs ho saka na mera

qarib aa ke bhi ek shakhs ho saka na mera
yahi hai meri haqiqat yahi fasana mera

ye aur baat ki mujh ko na mil saka ab tak
tere jahan mein kahin hai sahi thikana mera

charagh kahne laga phir hawa ke jhonke se
ye ehtimam to ai dost hai tera na mera

so ab tu bazm-e-tamanna mein tairana chahak!
tere dimagh pe halka sa bojh tha na mira?

abhi to gunj rahe hain badan mein shoale se
abhi to kham hai andaz-e-ashiqana mera

kahan majal ki marzi se phadphada bhi sukun
qafas-misal hai 'aslam' ye aashiyana mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close