qarib aate hue aur dur jate hue ye kaun log hain be-wajh muskuraate hue ye lamhe saz-e-azal se chhalak ke gir gae the tabhi se yun hi musalsal hain gungunate hue ek aisi samt jidhar kab se hu ka aalam hai main ja raha hun akela qadam badhate hue main kab se dekh raha hun ajib si harakat mera likha hua kuchh log hain mitate hue jo dal ke pas the un se hai marka darpesh chala hun jazbon ki diwar aaj dhate hue