jo kuchh kiya so hum ne kiya apni chah se ab shikwa kijiye na kuchh us rashk-e-mah se aashiq ke rozgar ko us ne siyah kiya kakul se khat se zulf se khali siyah se tab-o-tawan-o-din-o-dil-o-aql-o-sabr-o-hosh wo shokh mujh se le gaya sab ek nigah se ki charkh kaj-rawish ne ye kya kaj-adai kharch jo hum ko aashna kiya us kaj-kulah se kasrat nujum ki na falak par ye samjhiyo ghirbaal ho gaya hai mere tir-e-ah se us shokh khud-pasand se puchhe koi sahi sabit hua hai qatl mera kis gunah se pyare abas hue ho 'jahandar' se khafa be-dil na ho tum aise dili-khair-khwah se