qarib bhi to nahin ho ki aa ke so jao sitaron jao kahin aur ja ke so jao thakan zaruri nahin raat bhi zaruri nahin koi hasin bahana bana ke so jao kahaniyan thi wo raaten kahaniyan the wo log charagh gul karo aur bujh-bujha ke so jao tariq-e-kar badalne se kuchh naya hoga jo dur hai use nazdik la ke so jao khasare jitne hue hain wo jagne se hue so har taraf se sada hai ke ja ke so jao ye kar-e-sher bhi ek kar-e-khair jaisa hai ke taq taq jalo lau badha ke so jao udas rahne ki aadat bahut buri hai tumhein latife yaad karo hans-hansa ke so jao