har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha ab tak ka safar ek qayamat ka safar tha andaza-e-haalat tha pahle hi se mujh ko darpesh jo ab hai wo mere pesh-e-nazar tha sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha tai hum ne kiya sara safar yak-o-tanha juz gard-e-safar koi na hamrah-e-safar tha sad haif kai log gae jaan se mere sath qatil ko to matlub faqat mera hi sar tha meri hi tarah jaan se guzar kar chale aate kuchh is se ziyaada to na raste mein khatar tha rahta tha kabhi meri nigahon mein shab-o-roz ek waqt tha jab wo mera mahbub-e-nazar tha kya wo koi jhonka tha nasim-e-sahari ka ya rahguzar-e-khwab pe khushbu ka safar tha hum ja ke kahan baadiya-paima hue 'mohsin' jis dasht mein sabza na kahin koi shajar tha