qarib tha ki hararat se jal utha hota diya hatheli pe kuchh waqt agar ruka hota banaya jata agar tahniyon se pinjre ko qafas mein kuchh to parindon ko aasra hota tumhaare jude mein hai is liye salamat hai ye phul shakh pe pazhmurda ho gaya hota khuda ka shukr ki nisbat qalam se hai warna hamare hath bhi barud lag chuka hota bilakta bachcha kahan bap se sambhalta hai jo hoti man to use chup kara liya hota tujhe lagi hi nahin ishq ki hawa 'tasir' wagarna tujh mein koi aur bolta hota