qarine se ajab aarasta qatil ki mahfil hai jahan sar chahiye sar hai jahan dil chahiye dil hai har ek ke waste kab ishq ki dushwar manzil hai jise aasan hai aasan hai jise mushkil hai mushkil hai zahe taqdir kis aaram o rahat se wo bismil hai ki jis ke sar ka takiya der se zanu-e-qatil hai tariq-e-ishq kuchh aasan hai kuchh hum ko mushkil hai idhar rahbar udhar rahzan yahi manzil-ba-manzil hai mujhe tujh se rukawat aur tu ghairon pe mail hai mera dil ab tera dil hai tera dil ab mera dil hai badha dil is qadar fart-e-khushi se wasl ki shab ko mujhe ye wahm tha pahlu mein ye takiya hai ya dil hai teri talwar ke qurban ai saffak kya kahna idhar kushte pe kushta hai udhar bismil pe bismil hai adam mein le chala hai rahnuma-e-ishq kya mujh ko yahi kahta hai aa pahunche hain thodi dur manzil hai unhen jab mehrban pa kar sawal-e-wasl kar baitha dabi aawaz se sharma ke wo bole ye mushkil hai sitam bhi ho to mujh par ho jafa bhi ho to mujh par ho mujhe is rashk ne mara wo kyun aalam ka qatil hai masiha ne tere bimar ko dekha to farmaya na ye jine ke qabil hai na ye marne ke qabil hai zabardasti to dekho hath rakh kar mere sine par wo kis dawe se kahte hain hamara hi to ye dil hai hamare dil mein aa kar sair dekho khub-ruyon ki ki indr ka akhada hai pari-zadon ki mahfil hai madarij ishq ke tai ho saken ye ho nahin sakta zamin se arsh tak ai be-khabar manzil-ba-manzil hai jhidakte ho mujhe kyun dur hi se pas aane do badha kar hath dil deta hun tum samjhe ho sail hai suna bhi tu ne ai dil kya sada aati hai mahshar mein yahi din imtihan ka hai hamare kaun shamil hai udate hain maze duniya ke hum ai 'dagh' ghar baithe dakan mein ab to afzalganj apni aish manzil hai