qarya-e-hairat mein dil ka mustaqar ek khwab hai ye zamin ek aaina hai ye nagar ek khwab hai tangi-e-auqat se khulti hai ek rah-e-najat wusat-e-imroz-o-farda se udhar ek khwab hai ek subh-e-nur hai mere sitare ki niyam aur meri be-tegh aankhon ki sipar ek khwab hai ye zamin-o-asman donon haqiqat hain magar khak par maujud hone ki khabar ek khwab hai sans rukta hai to gul hoti hai sham-e-justuju raat bhar bedar rahne ka samar ek khwab hai ek mauj-e-ab hai ek aks mein lipti hui ek mauj-e-rang se shir-o-shakar ek khwab hai