tere hathon se mitega naqsh-e-hasti ek din badh rakh degi chhuri par tez-dasti ek din teri aankhon se dil-e-nazuk girega nashshe mein taq se shisha gira degi ye masti ek din zahido puja tumhaari khub hogi hashr mein but bana degi tumhein ye haq-parasti ek din aankhen dozakh mein bhi senkega tera dil-sokhta aag ban jaegi ye aatish-prasti ek din khubi-e-shamshir-e-abru ka tamasha dekhte donon bagon aap ki talwar kasti ek din khun mera raegan nahaq bahate hain huzur karni hai rang-e-hina ki pesh-dasti ek din jild-e-pistan tak mera kab tak na hoga dastaras in turanjon ki bhi qimat hogi sasti ek din zulf-e-kafir-kesh liptegi qadam se ai sanam hindu-e-shab bhi karega but-parasti ek din jaan bakhsho sar mere lashe ka thukrao kabhi saghar-e-khali mein bhar do shahd-e-hasti ek din nilgun kar denge mal kar chhatiyan ai rashk-e-mehr teri angiya ki katori hogi jasti ek din khub kar tarif-e-nawwab-e-zafar-jang ai 'munir' kaam aa jaegi ye aaqa-parasti ek din