qarya-e-wahm-o-guman tak aae hum tere sath kahan tak aae apni kam-zarfi ka izhaar karun raaz-e-sar-basta zaban tak aae baat kar di to pashemani kya tir wapas na kaman tak aae pyas jo apni bujhana chahe halqa-e-tishna-laban tak aae abhi jari hai nahin ki gardan dekhiye kaise wo han tak aae mutmain phirte hain yun sahra mein jaise hum aab-e-rawan tak aae hum bahaaron ki talab mein 'nasir' aakhirash shahar-e-khizan tak aae