qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain hum sab kuchh nisar-e-rah-e-wafa kar chuke hain hum kuchh imtihan-e-dast-e-jafa kar chuke hain hum kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain hum ab ehtiyat ki koi surat nahin rahi qatil se rasm-o-rah siwa kar chuke hain hum dekhen hai kaun kaun zarurat nahin rahi ku-e-sitam mein sab ko khafa kar chuke hain hum ab apna ikhtiyar hai chahe jahan chalen rahbar se apni rah juda kar chuke hain hum un ki nazar mein kya karen phika hai ab bhi rang jitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain hum kuchh apne dil ki khu ka bhi shukrana chahiye sau bar un ki khu ka gila kar chuke hain hum