qasam hai jaane wale tujhko apne husn-e-kaamil ki

qasam hai jaane wale tujh ko apne husn-e-kaamil ki
zara rudad-e-gham sunta bhi ja tute hue dil ki

khudara rahm kar mujh par tu ai wahshat mere dil ki
kahan par le chali mujh ko dikha kar shakl manzil ki

hamein khoya hai qismat ne hamari la ke manzil par
na apna hosh tha hum ko khabar thi kuchh na manzil ki

ajab kya tha unhen haalat pe meri rahm aa jata
agar rudad-e-gham sunte mere tute hue dil ki

nahin hai taqat-e-raftar lekin is ki hasrat hai
kahan par hai meri manzil dikha de shakl manzil ki

teri bazm-e-tamanna bhi ajab bazm-e-tamanna hai
hazaron uth gae lekin wahi raunaq hai mahfil ki

gareban chaak hone par bhi wahshat na-mukammal hai
abhi hasrat hai mujh ko ai junun tauq-o-salasil ki

mujhe shauq-e-shahadat le chala hai aaj maqtal mein
ilahi baat rakhna qatl-gah mein mere qatil ki

na jaane kis ke jalwe 'raaz' mujh ko yaad aate hain
ye kis ke dard ki dil mein kasak hai khair ho dil ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close