numayan hain meri barbaadiyon ke kuchh nishan ab tak padi hai sahn-e-gulshan mein ye khak-e-ashiyan ab tak maaz-allah ye mujh bekas pe zor-e-asman ab tak nasheman kya mila girti hain dil par bijliyan ab tak diya tha dard tum ne wo bhi na-kafi hua mujh ko rahi hai dard-o-gham ki na-mukammal dastan ab tak mohabbat khatm hone par bhi baqi hain nishan ab tak mere sine mein hai aabaad ye dard-e-nihan ab tak chaman ko chhod kar jaun kahan main ai chaman walo wahi dushman hua mera raha jo meherban ab tak dam-e-akhir na aae wo ayaadat ke liye meri tajjub hai dil-e-muztar ki hain wo bad-guman ab tak tujhe nicha dikhata main kabhi ka nala-e-dil se sitam sahta raha lekin tere ai aasman ab tak tera nam-e-mubarak hai zaban par marne wale ki tujhe bhula nahin hai be-khudi mein meherban ab tak kisi ke husn ki hoti hai muddat se kasak dil mein magar samjhe nahin ai 'raaz' ye raaz-e-nihan ab tak