qasd-e-jaan tut gaya qasd-e-wafa tut gaya ek hi zarb mein mitti ka khuda tut gaya aankh mein chubhne lagin kirchen to ehsas hua khwab ke sath mera khwab-numa tut gaya waqt ki chaal mein duniya hi ujad jati hai kya hua tera jo ek khwab zara tut gaya dil se hum khela kiye the to yahi hona tha aaina chhut ke hathon se gira tut gaya aaj fursat hai zara sair karen baatin ki jaeza lene de kya baqi hai kya tut gaya tum se kya jurm hua hum se kahan bhul hui kaise 'mumtaz' ye rishton ka sira tut gaya