kya hua koi sochta bhi nahin

kya hua koi sochta bhi nahin
aur kahne ko kuchh hua bhi nahin

jaise gum ho gai shanakht meri
ab koi mujh ko dhundhta bhi nahin

jis se rahne lage gile mujh ko
wo abhi mujh ko jaanta bhi nahin

aisa khamosh bhi nahin lagta
aur kuchh munh se bolta bhi nahin

chahta hai jawab bhi sare
aur kuchh mujh se puchhta bhi nahin

mustarad bhi kabhi nahin karta
wo meri baat manta bhi nahin

dad deta hai jitne pe mujhe
aur kabhi mujh se haarta bhi nahin

khwab tak mere chhin leta hai
aur kuchh mujh se mangta bhi nahin

us taraf sab charagh jalte hain
jis taraf koi rasta bhi nahin

raat din par muhit hai to rahe
raushni koi chahta bhi nahin

dubte aaftab ki jaanib
der tak koi dekhta bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close