qasd jab teri ziyarat ka kabhu karte hain chashm-e-pur-ab se aaine wazu karte hain karte izhaar hain dar-parda adawat apni wo mere aage jo tarif-e-adu karte hain dil ka ye haal hai phat jae hai sau jae se aur agar ek jae se hum us ko rafu karte hain toden ek nale se is kasa-e-gardun ko magar nosh hum is mein kabhu dil ka lahu karte hain qad-e-dil-ju ko tumhaare nahin dekha shayad sarkashi itni jo sarw-e-lab-e-ju karte hain