qasid ke hath mujhko ye paigham milta hai

qasid ke hath mujh ko ye paigham milta hai
ab wo kisi se roz sar-e-sham milta hai

bekar koshishen hain tujhe bhulne ki dost
mujh ko har ek jagah tera hamnam milta hai

hum donon apni apni kahani mein mar gae
haalat mukhtalif the par anjam milta hai

chalna sanbhal ke shahr-e-mohabbat mein ki yahan
har ek gam par koi badnam milta hai

mujh ko wo ishq karna nahin hai mere aziz
basti mein aaj-kal jo sar-e-am milta hai

ahl-e-junun wo log hain be-zari mein jinhen
aksar hi dard hone se aaram milta hai

'kaunain' tere jaisi tabiat nahin mili
aise bahut hain jin se tera nam milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close