teri har ek baat pe dil ko yaqin raha tu aage badh gaya main wahin ka wahin raha dil aisa chur-chur hua tere baad phir na to makan raha na hi koi makin raha wo ek zakhm jis ko bhara hai tamam umr wo zakhm is badan mein kahin tah-nashin raha ek shakhs par tamam the sare muamlat afsos ki sabhi rahe ek wo nahin raha behaal ho gae the hum us se bichhadne par lekin wo shakhs waise ka waisa hasin raha