qasida tujh se ghazal tujh se marsiya tujh se har ek harf hua sahab-e-nawa tujh se zaban-kushai-e-gham se khuli kitab-e-khayal waraq waraq pe khula husn-e-muddaa tujh se zamin mein phut pada chashma-e-junun-saman gulon mein sard padi aatish-qaba tujh se kahan se zud-faramoshiyon ki khu sikhi jo dekhiye to na thi barq-ashna tujh se pahunch to jata sar-e-khema-e-wafa-abaad magar hai sust qadam umr-e-tez-pa tujh se kiye the kaam jo dil ke sipurd un ko bhi dimagh-e-dahr se badh kar hai ab gila tujh se hua jo kucha-e-tanqid mein 'hasan' ruswa milaya ghaib ne 'ghaalib' ka silsila tujh se