raat guzri ki shab-e-wasl ka paigham mila so gae khwab ki banhon mein jo aaram mila dhundte rahiye shab-o-roz umidon ke qadam kucha-e-zist mein le de ke yahi kaam mila khubi-e-bakht ki jab bhul chuka tha sab kuchh bewafai ka lab-e-ghair se ilzam mila pa-piyaada tha magar rah mein wo dhum machi jhuk ke tazim se shahzada-e-ayyam mila hum ne bechi nahin jis roz mata-e-ghairat ek piyala bhi na mai ka hamein us sham mila mukhtasar ye hai ki jab waqt-e-wida-e-gul tha khwab mein aa ke gale mujh se wo gulfam mila hum junun hai ki nahin rah mein puchhenge 'naim' dasht-e-ghurbat mein ye kya kam hai ki hamnam mila