qaside le ke sare shaukat-e-darbar tak aae hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aae wo tapti dhup se jab saya-e-diwar tak aae to jati dhup ke manzar lab-e-izhaar tak aae wo jis ko dekhne ek bhid umdi thi sar-e-maqtal usi ki did ko hum bhi sutun-e-dar tak aae tarab-zadon ki raaten husn se aabaad rahti thin sukhan-zade to bas zikr-e-lab-o-rukhsar tak aae zamin ke hath par hai aasman ye kya maqam aaya ye kis imkan bhari duniya ke hum aasar tak aae ana ke gumbadon mein jin ka fan gunja kiya barson hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aae