shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai har ek nigah ka mahwar dikhai deta hai udhar khuli koi khidki na koi darwaza jahan se aag ka manzar dikhai deta hai chalo ki nili fazaon mein baadban kholen safar-nawaz samundar dikhai deta hai kate to kaise ye andhi rifaqaton ka safar na koi chehra na manzar dikhai deta hai nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain wo ek shakhs jo aksar dikhai deta hai pade hain band sabhi zine un chhaton ke 'zubair' jahan jahan se tera ghar dikhai deta hai