qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se tair-e-jaan ke liye par mang lun main tir se un ko kya dhoka hua mujh na-tawan ko dekh meri surat kyun milate hain meri taswir se galiyan de kar bajae qum ke ai rashk-e-masih aap ne murde jilae hain nai tadbir se sadqe ai qatil tere mujh tishna-e-didar ki tishnagi jati rahi aab-e-dam-e-shamshir se ishwe se ghamze se shokhi se ada se naz se mitne wala hun mita dije kisi tadbir se ek sawal-e-wasl par do do sazaen din mujhe tegh se kata zaban ko si diye lab tir se kuchh na ho ai inqilab-e-asman itna to ho ghair ki qismat badal jae meri taqdir se zindagi se kyun na ho nafrat ki mahw-e-zulf hun qaid-e-hasti mujh ko 'bedam' kam nahin zanjir se