jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain makan ko chhod chuke hain zaman mein rahte hain tere khayal mein apna guzar nahin hota jo dil se gir gae wahm-o-guman mein rahte hain chhate ghubar to nam-o-nishan hamara mile ki hum to gard-e-pas-e-karwan mein rahte hain jo khar hain wo khatakte hain chashm-e-ada mein jo phul hain wo dil-e-dostan mein rahte hain shaguft-e-jaan ke liye khinch ranj-e-mahrumi bahaar ke sabhi mausam khizan mein rahte hain nahin jo wo to dar-o-baam ki faza se milo makin ke rang-e-tabiat makan mein rahte hain hum apni aag ko pani mein dhaalne ke liye tilism-kari-e-ah-o-fughan mein rahte hain uruj-e-ishq ye dekha ki tere diwane zamin pe chalte hain aur aasman mein rahte hain kitab-e-haal mein 'baqar' ko dhundte ho abas suna hai dil ki kisi dastan mein rahte hain