qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal hai wafa-pesha tu mat kucha-e-jaanan se nikal nikhat-e-zulf ye kis ki hai ki jis ke aage hui khajlat-zada bu sumbul-o-raihan se nikal go bahaar ab hai wale roz-e-khizan ai bulbul yak-qalam nargis o gul jawenge bustan se nikal imtihan karne ko yun dil se kaha hum ne raat ai dil-e-gham-zada is kakul-e-pechan se nikal kha ke sau pech kaha main to nikalne ka nahin magar ai dushman-e-jaan chal tu mere han se nikal ho pareshani se jis ki mujhe sau jamiyyat kis tarah jaun main us zulf-e-pareshan se nikal lakh zindan-e-pur-afat mein hota hai wo qaid jo koi jata hai is taur ke zindan se nikal mujh se mumkin nahin mahbub ki qata-e-ulfat garche main jaunga is aalam-e-imkan se nikal chah mein mujh ko ye murshid ka hai irshad 'nazir' aabru chahe to mat chah-e-zanakhdan se nikal