qasr viran hua jata hai dil pareshan hua jata hai haram o dair ke jalwon ki qasam kufr iman hua jata hai tab-e-nazzara ilahi tauba jalwa hairan hua jata hai nala aaghosh-e-asar tak aa kar khud pasheman hua jata hai be-piye shaikh farishta tha magar pi ke insan hua jata hai dil hai aamada-e-takmil-e-nashat gham ka saman hua jata hai kuchh nahin hasti-e-parwana magar bazm ki jaan hua jata hai allah allah ki unhin ka partaw un pe qurban hua jata hai har waraq sharh-e-mohabbat ka 'shakil' apna diwan hua jata hai