shoala idhar udhar kabhi saya yahin kahin

shoala idhar udhar kabhi saya yahin kahin
hoga wo barq-jism subuk-pa yahin kahin

kin paniyon ka zor use kat le gaya
dekha tha hum ne ek jazira yahin kahin

mansub jis se ho na saka koi hadsa
gum ho ke rah gaya hai wo lamha yahin kahin

aawargi ka dar na koi dubne ka khauf
sahra hi aas-pas na dariya yahin kahin

wo chahta ye hoga ki main hi use bulaun
meri tarah wo phirta hai tanha yahin kahin

'bani' zara sambhal ke mohabbat ka mod kat
ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close