qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai ab to ai saudaiyo zanjir aadhi rah gai sari botal ab kahan aadhi mein karte hain guzar munsifi se mohtasib tazir aadhi rah gai sham ka wada kiya aae wo aadhi raat ko jazba-e-dil ki mere tasir aadhi rah gai dhal gaya ahd-e-jawani ho gaya aakhir shabab zindagi apni bhi charkh-e-pir aadhi rah gai ek kashish-e-ishq kaman-e-abru ki hai teri tadap buad mein jo rah thi do tir aadhi rah gai jubba-sai karte karte ghis gai lauh-e-jabin meri qismat ki jo thi tahrir aadhi rah gai sari izzat naukri se is zamane mein hai 'mehr' jab hue be-kar bas tauqir aadhi rah gai