qata hota rahe is tarah bayan-e-waiz ek hi baat mein ho band zaban-e-waiz turfa-afat mein phansi aati hai jaan-e-waiz kaun mai-khana mein tha martaba-dan-e-waiz kyun na mina-e-mai-e-nab patak dun sar par aish jab talkh ho sun sun ke bayan-e-waiz is tarah pand-o-nasihat ki uthai tamhid aaj saqi pe hua mujh ko guman-e-waiz tezi-e-baada kuja talkhi-e-guftar kuja kund hai nashtar-e-saqi se sinan-e-waiz fasl-e-gul aate hi mai-khana mein ek bhid hui na suni ek bhi rindon ne fughan-e-waiz phir dar-e-pir-e-kharabaat pe baitha hai 'habib' ye to aaya tha abhi sun ke bayan-e-waiz