meri tarah koi na-kaamyab ho na saka kisi nigah mein bhi intikhab ho na saka khayal-o-khwab mein bhi kaamyab ho na saka mera khayal kabhi un ka khwab ho na saka chaman hazar ba-ranai-e-bahaar raha tumhaara husn tumhaara shabab ho na saka meri nigah ke andaz-e-shauq jab dekhe hijab kar na sake wo hijab ho na saka jahan-e-ishq mein wo ham-mizaj-e-fitrat hun mere khilaf koi inqalab ho na saka kahan wo ahd-e-shabab aur talatum-e-jazbaat sukun-pazir kabhi iztirab ho na saka nigah-e-shauq se jab tak na chhed-chhad hui tera shabab mukammal shabab ho na saka nigah-e-shokh ki bebakiyan koi dekhe ki jaise koi kabhi kaamyab ho na saka harim-e-naz ki allah re rifaten 'bismil' khayal mein bhi koi baryab ho na saka