qatil-e-alam se kya yarana hai dil charagh-e-gor ka parwana hai har makan mein jalwa-e-jaanana hai aashiqon ka har jagah afsana hai chhin lega bahr-e-zulf-e-ambarin ye dil-e-sad-chaak rashk-e-shana hai log kahte hain jise pir-e-mughan yar ka kya jalwa-e-mastana hai halqa-e-ada mein hai wo sim-bar ganj hai jis ja wahan virana hai jis jagah chalte the kal jam-e-sharab aaj wan ulta hua paimana hai baiat-e-dast-e-subu se ye khula sab se behtar mashrab-e-rindana hai kyun na phanse daulat-e-duniya hamein hai wahan par dam jis ja dana hai mard-e-akhir-bin ke aage munimon kasrat-e-hasti bhi ek virana hai kaam kya hai us ko mulk-o-mal se pas jis ke himmat-e-mardana hai hijr mein ashk-e-musalsal zahida aashiqon ka subha-e-sad-dana hai 'muntahi' zer-e-qadam us yar ke sar katana sajda-e-shukrana hai