qatil ko tegh-e-naz pe hai naz dekhna daman utha ke chalne ka andaz dekhna rashk-e-raqib ka to guman bhi na kijiye marta hun is liye ki hai eajaz dekhna tum aur apne wade pe aa jao sham se kya baat ban padi hai khuda-saz dekhna hai khun-e-dil abhi sar-e-mizhgan jama hua un ki taraf na dida-e-ghammaz dekhna fasl-e-bahaar aate hi mutrib bani saba chheda shamim-e-gul ne naya saz dekhna aaina samne na sahi aarsi to hai tum apne muskurane ka andaz dekhna bazu hain wa qafas mein tadapta hun raat-din kis se kahun ki hasrat-e-parwaz dekhna yun dekhne ke waste lakhon hasin hain kis ko hua nasib ye andaz dekhna ghussa mein aankh bhi nahin milti kisi se aaj kis par gire nigah ka shahbaz dekhna har lab pe gudgudi ka asar dekhta hun main mahfil mein un ki shokhi-e-awaz dekhna qail bani nazakat-e-awaz dekhna likhe hain sher hazrat-e-'bekhud' ke rang mein ai ahl-e-bazm 'shad' ka eajaz dekhna