di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae raqs karte hue atraf mein jangal ho jae ai mere dasht-mizajo ye meri aankhen hain in se rumal bhi chhu jae to baadal ho jae chalta rahne do miyan silsila dildari ka aashiqi din nahin hai ki mukammal ho jae haalat-e-hijr mein jo raqs nahin kar sakta us ke haq mein yahi behtar hai ki pagal ho jae mera dil bhi kisi aaseb-zada ghar ki tarah khud-ba-khud khulne lage khud hi muqaffal ho jae dubti naw mein sab chikh rahe hain 'tabish' aur mujhe fikr ghazal meri mukammal ho jae