qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat

qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat
tanha khadi larazti rahi sirf meri zat

tahzib ki jo unchi imarat hai dha na dun
jine ke rakh-rakhaw se milti nahin najat

khwabon ki barf pighli to har aks dhul gaya
apnon ki baat ban gai ek ajnabi ki baat

kanton ki sej par chalun shoalon ki mai piyun
sangin marhalon ka safar kaun dega sat

suraj bhi thak chuka hai kahan raushni kare
wirse mein bat gai hai andheron ki kaenat

sargoshi bhi karun to bikhar jae ek gunj
bahron ke is hujum mein sunta hai kaun baat

jhunjhla ke kyun na chhin lun tuta hai wo azab
phir waqt ghumta hai liye dard ki zakat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close