bichhad kar un se yun gham mein guzari zindagi hum ne sahar tarik dekhi surkh pai chandni hum ne hamein dawa nahin tanha nibahi dosti hum ne mohabbat ko sambhaala hai kabhi tum ne kabhi hum ne khushi gham mein nazar aai khushi mein gham nazar aaya abhi duniya pe dali thi nigah-e-sarsari hum ne badi bechaargi nikli bahut hi narasi pai azal ke roz badh kar le to li thi bandagi hum ne jahan saz-e-mohabbat par mughanni ga nahin sakta wahan naghma alapa hai kabhi tum ne kabhi hum ne tumhein hoge nigah-e-shauq ka markaz tumhin hoge agar is zindagi ke baad pai zindagi hum ne hamare samne har-waqt anjam-e-shikayat thi kahi ko an-kahi kar di suni ko an-suni hum ne bharegi is mein rang 'ehsan' duniya inqilabon se lahu se apne ek taswir aisi khinch din hum ne