qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha par tere ahd se aage to ye dastur na tha raat majlis mein tere husn ke shoale ke huzur shama ke munh pe jo dekha to kahin nur na tha zikr mera hi wo karta tha sarihan lekin main ne puchha to kaha khair ye mazkur na tha bawajude ki par-o-baal na the aadam ke wahan pahuncha ki farishte ka bhi maqdur na tha parwarish gham ki tere yan tain to ki dekha koi bhi dagh tha sine mein ki nasur na tha mohtasib aaj to mai-khane mein tere hathon dil na tha koi ki shishe ki tarah chur na tha 'dard' ke milne se ai yar bura kyun mana us ko kuchh aur siwa did ke manzur na tha