rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath ji hai wabasta mera un ki har ek aan ke sath apne hathon ke bhi main zor ka diwana hun raat din kushti hi rahti hai gareban ke sath jo jafa-ju hain unhen sang-dili lazim hai kaam talwar ko rahta hai sada san ke sath gar masiha-nafasi hai yahi mutrib to khair ji hi jate hain chale teri har ek tan ke sath 'dard' har-chand main zahir mein to hun mor-e-zaif zor nisbat hai wale mujh ko 'sulaiman' ke sath