qatl karna ho to kab zahr diya jata hai un dinon bas nazar-andaz kiya jata hai zindagi zahr sahi jura-e-manus to hai maut ka jam-e-shifa kis se piya jata hai main to lamhat ka bikhra hua shiraaza hun sozan-e-umr se kyon mujh ko siya jata hai tum ko andaza nahin us ki tawanai ka had se badh kar jise majbur kiya jata hai baz-purs us se bhi hogi kabhi socha bhi na tha haal par apne jise chhod diya jata hai hita-e-sher mein ab aane lagi hai wo shai jis ko samjha nahin mahsus kiya jata hai