qatra dariya-e-ashnai hai kya teri shan-e-kibriyai hai teri marzi jo dekh pai hai khalish-e-dard ki ban aai hai wahm ko bhi tera nishan na mila na-rasai si na-rasai hai kaun dil hai jo dardmand nahin kya tere dard ki khudai hai jalwa-e-yar ka bhikari hun shash-jihat kasa-e-gadai hai maut aati hai tum na aaoge tum na aae to maut aai hai bichh gae rah-e-yar mein kante kis ko uzr-e-barhana-pai hai tark-e-ummid bas ki baat nahin warna ummid kab bar aai hai muzhda-e-jannat-e-visal hai maut zindagi mahshar-e-judai hai aarzu phir hai dar-pa-e-tadbir sai-e-nakaam ki duhai hai maut hi sath de to de 'fani' umr ko uzr-e-bewafai hai