qatra hun main wusat de dariya kar de tu chahe to sagar ko sahra kar de talkhi ka ehsas mita de duniya se ya-rab tu har ped ka phal mitha kar de ye khwahish to sadiyon se hai naslon ki khud zahir ho ya mujh ko ifsha kar de zard chatanen kat raha hun sahra mein gard ki chadar phaila kar saya kar de laj bacha le meri kaj-dastari ki baunon ki basti mein qad uncha kar de zanjiron par itna bharosa mat karna josh-e-junun mein wahshi jaane kya kar de insan khud hai khaliq apni zarurat ka chalte chalte pagdandi paida kar de abr bane to khaari pani mitha ho teri mashiyyat jab chahe jaisa kar de meri mohabbat zamin hai shadabi ki teri chahat patton ko pila kar de rone walo ye bhi to ho sakta hai khun ka chhinta qatil ko ruswa kar de itni duri 'ramz' hai kyun ghar walon mein nafrat ki diwar gira rasta kar de