qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise yani wo main hi kyun na hun tujh sa kahen jise wo ek nigah ai dil-e-mushtaq is taraf aashob-gah-e-hashr-e-tamana kahen jise bimar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai wo dard dil mein de ki masiha kahen jise ai husn-e-jalwa-e-rukh-e-jaanan kabhi kabhi taskin-e-chashm-e-shauq-e-nazara kahen jise is zoaf mein tahammul-e-harf-o-sada kahan han baat wo kahun ki na kahna kahen jise ye bakhshish apne banda-e-nachiz ke liye thodi si punji aisi ki duniya kahen jise ham-bazm ho raqib to kyun-kar na chhediye aahang-e-saz-e-dard ki nala kahen jise paimana-e-nigah se aakhir chhalak gaya sar josh-e-zauq-e-wasl-e-tamanna kahen jise 'asi' jo gul se gal kisi ke hue to kya mashuq wo ki sab se nirala kahen jise