raaz hai ibrat-asar fitrat ki har tahrir ka mushaf-e-natiq kahan muhtaj hi tafsir ka mani-e-qadr-o-qaza hai nau-bahaar-e-lala-rang har dil-e-zarra mein hai jazba nai tamir ka hikmat-e-adam se hai raushan shabistan-e-jahan nafs-e-maqsad hai huwaida khaliq-e-taqdir ka kawish-e-paiham se duniya ki faza jannat-ada ye tasarruf hai bashar ki quwwat-e-taskhir ka daulat-e-kaunain musht-e-khak ke daman mein hai aadmi meamar hai aafaq ki taqdir ka bahr-e-imka۔n mein habab-asa hai kashti-e-wajud naqsh-e-fani har tamawwuj sail-e-afat-gir ka paikar-e-khaki jahan-e-makhzan-e-asrar hai aadmi shahkar hai allah ki taqdir ka khun se majbur ke dasht-e-jahan jannat-badosh shiddat-e-mehnat se dilkash rang hai taswir ka nala-e-bulbul se fasl-e-gul gareban chaak hai ghuncha ghuncha said hai baad-e-sahar ke tir ka maujzan hai qatra-e-shabnam mein sail-e-zindagi zarra-e-kamtar hai mehwar mehr-e-pur-tanwir ka iztirab-e-shauq mein dil hath se jata raha ye asar hai ham-nashin taqrir-e-pur-tasir ka nashtar-e-wahshat nafas mauj-e-nafas ki sar-kashi aalam-e-tazir hai dozakh meri taqsir ka faqr par isar se hain mutmain ruh-o-zamir dard-e-dil hai khas makhzan ishq ki jagir ka zarre zarre se hai zahir shahid-e-har-do-jahan aaina 'bebak' dil hai khaliq-e-taqdir ka