qayam-gah na koi na koi ghar mera azal se ta-ba-abad sirf ek safar mera khiraj mujh ko diya aane wali sadiyon ne buland neze pe jab hi hua hai sar mera ata hui hai mujhe din ke sath shab bhi magar charag shab mein jila deta hai hunar mera sabhi ke apne masail sabhi ki apni ana pukarun kis ko jo de sath umr bhar mera main gham ko khel samajhta raha hun bachpan se bharam ye aaj bhi rakh lena chashm-e-tar mera mere khuda main teri rah jis ghadi chhodun usi ghadi se muqaddar ho dar-ba-dar mera