tumhaare hijr mein kyun zindagi na mushkil ho tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho ajab nahin ki agar aaina muqabil ho tumhaari tegh-e-ada khud tumhaari qatil ho na ikhtilaf-e-mazahib ke phir paden jhagde hijab apni khudi ka agar na hail ho tumhaari tegh-e-ada ka fasana sunta hun mujhe to qatl karo dekhun to kaise qatil ho hamari aankh ke parde mein tum chhupo dekho tumhaari aisi ho laila to aisa mahmil ho ye arz roz-e-jaza hum karenge dawar se ki khun-baha main hamare hawale qatil ho isi nazar se hai nur-e-nigah madd-e-nazar mujhe habib ka didar ta-ki hasil ho habib kyun na ho surat bhi achchhi sirat bhi har ek amr mein tum rashk-e-mah-e-kaamil ho ghazab ye hai ki adu ka jhut sach thahre hum un se haq bhi kahen to guman-e-baatil ho maza chakhaun tumhein is hansi ka rone par khuda kare kahin tum dil se mujh pe mail ho tumhaare lab to hain jaan-e-masih o aab-e-baqa ye kya zamane mein mashhur hai ki qatil ho tumhaari did se sairab ho nahin sakta ki shakl-e-aina munh dekhne ke qabil ho isi rafiq se ghaflat hai aah ai 'afsar' tumhaare kaam se jo ek dam na ghafil ho