qayamat aaegi mana ye hadisa hoga magar chhupa hua manzar to runuma hoga musahibon mein ghire honge zill-e-subhani ghanim shahr ko taraj kar raha hoga abhi faza mein thi ek tez raushni ki lakir na jaane tut ke tara kahan gira hoga aziz mujh se tha inam mere sar ka use rais ek hi shab mein wo ho gaya hoga hui jo baat to wo aam aadmi nikla guman tha ki nae rukh se sochta hoga rahega samne kab tak ye nilgun manzar ye aasman kahin khatm to hua hoga ajab safar hai mujhe bhi pata nahin 'azhar' ki agle mod pe kirdar mera kya hoga