nazar ki zad mein sar koi nahin hai fasil-e-shahr par koi nahin hai bahut mukhlis hain us ke ganw wale padha-likkha magar koi nahin hai khabar ek ghar ke jalne ki hai lekin bacha basti mein ghar koi nahin hai kahin jaen kisi bhi waqt aaen badon ka dil mein dar koi nahin hai mujhe khud tut kar wo chahta hai mera is mein hunar koi nahin hai hum apne sath jaen bhi kahan tak hamara ham-safar koi nahin hai abhi aandhi pe 'azhar' tabsire hain charaghon ki khabar koi nahin hai